Sunday, May 13, 2012

Chand deewarein aur ek Maa !!

(I went to my place after almost two years since my mother passed away and lived in my empty house...yes just a house...not a home)



Yeh ghar ab makaan sa reh gaya hai
Tere hone ka bas ek ehsas sa reh gaya hai

Har ek aahat pe lagey tu hai yahin kahin
Mere dil mai bas kuch reh sa gaya hai

Na aaj koi subah sotey se jaganey wala
Na koi raat ko jaagney pe daantne wala

Na koi har choti baat pe tokney wala
Aur na raha koi har badi baat ko zapt karney wala

kaise kahun ke mere mathey ki woh chand lakheerey
aaj bhi tere duaon ke boasey se chamakti hain

Aaj bhi Woh tere kamrey ka sannata
Cheekh kar tujhe pukarta hai

Woh braamdey mai laga aam ka darakht
Teri raah mai aaj bhi phal girata hai

Mai yun hi inn deewaron ko takta hun
Tere honay ke ehasas mai kahin gumm rahta hun

Kaash ke tum phir se aa jao maa
mera sar aaj bhi tere aanchal ko tarasta hai