Wednesday, July 21, 2010

Kuch Khoney Ka Jashn



Un saari cheezon ke khoney ka jashn manana chahta hun jo maine kabhi jaane anjane apne kirdar ke angochey se baandh lii thii.

Mere chehre ke daag meri nakaamyabi ki anginath ghaanthon ko chupaney ki koshish kar rahe hain. mai apne besharam mathey ki shikanj ko khona chahta hun….

apne siya zameer ko khoney ka jashn manana chahta hun…

Apni maa se duur rahne ki bebasi ko khona chahta hun….mai apne darr ko khona chahta hun …

Apne bhaiyon ke pyar aur behnon ke laad ko yaad kar kuch aanso khona chahta hun…
Apne abba ke khamosh pyar se bhari muskurahat ko yaad kar un anjan sannaton ko khona chahta hun…

mai rishton ke faslon ko khoney ka jashn manana chahta hun

Apne doston ke saath ko kho janey ke veham ko khona chahta hun….dosti mai ankahi khaleesh ko khona chahta hun..

Jo kabhi saath kisi ka tha us tootey dil ki yadon ko khona chahta hun…mai apne maazi ke kuch auraq ko purza purza kar udana chahta hun…

mai kuch sawalon ko bhoolne ka jashn manana chahta hun…

kisi aur ke dukh ki vahshat ko khona chahta hun..mai roz marra ki chidhchidahat ko khoney ka jashn manana chahta hun

Jo jhaank ke dekhun dil mai to apne aap ko khona chahta hun…mai roz marne ko aur mar kar jeeno ko khona chahta hun…mai khoney ka jashn manana chahta hun…

No comments:

Post a Comment